pehle jo thi dilon mein mohabbat nahin rahi
afsos ab jahaan mein sharaafat nahin rahi
ik meherbaan ki chashm-e-karam mujh pe ho gai
duniya tire karam ki zaroorat nahin rahi
tum ne nigaah feri to ehsaas ye hua
duniya mein kuchh khuloos ki qeemat nahin rahi
ye aur baat main ne hi tujh ko bhula diya
hamraah mere kab tiri rahmat nahin rahi
kyun aap kaayenaat se bezaar ho gaye
kya dil mein roshni-e-mohabbat nahin rahi
manzil se aashna vo kabhi ho nahin saka
haasil jise kisi ki qayaadat nahin rahi
main ne kisi ka dil nahin toda kabhi ana
wallaah mujh mein ye kabhi aadat nahin rahi
पहले जो थी दिलों में मोहब्बत नहीं रही
अफ़्सोस अब जहाँ में शराफ़त नहीं रही
इक मेहरबाँ की चश्म-ए-करम मुझ पे हो गई
दुनिया तिरे करम की ज़रूरत नहीं रही
तुम ने निगाह फेरी तो एहसास ये हुआ
दुनिया में कुछ ख़ुलूस की क़ीमत नहीं रही
ये और बात मैं ने ही तुझ को भुला दिया
हमराह मेरे कब तिरी रहमत नहीं रही
क्यों आप काएनात से बेज़ार हो गए
क्या दिल में रौशनी-ए-मोहब्बत नहीं रही
मंज़िल से आश्ना वो कभी हो नहीं सका
हासिल जिसे किसी की क़यादत नहीं रही
मैं ने किसी का दिल नहीं तोड़ा कभी 'अना'
वल्लाह मुझ में ये कभी आदत नहीं रही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ana Dehlvi
our suggestion based on Ana Dehlvi
As you were reading Friendship Shayari Shayari