jagmagate shehar ki raanaaiyon mein kho gaya | जगमगाते शहर की रानाइयों में खो गया

  - Anees Sultana

jagmagate shehar ki raanaaiyon mein kho gaya
tha vo suraj sa magar parchaaiyon mein kho gaya

aane waale waqt ne samjha use apna naqeeb
vo par-e-parvaaz kyun pahnaaiyon mein kho gaya

mera chehra apne pas-manzar se khud waqif na tha
bheed mein to saath tha tanhaaiyon mein kho gaya

haal ke maatam-sara hain ham na maazi ke naqeeb
apna mustaqbil magar parchaaiyon mein kho gaya

pattharon ke dher par rakh kar chali aayi use
maamta ka dard kyun ruswaaiyon mein kho gaya

apne aanchal se koi parcham bana paai na vo
jazba-e-be-ikhtiyaar anganaaiyon mein kho gaya

shaam se pehle sameti zard patton ne bisaat
mausamon ka dard in raanaaiyon mein kho gaya

जगमगाते शहर की रानाइयों में खो गया
था वो सूरज सा मगर परछाइयों में खो गया

आने वाले वक़्त ने समझा उसे अपना नक़ीब
वो पर-ए-पर्वाज़ क्यों पहनाइयों में खो गया

मेरा चेहरा अपने पस-मंज़र से ख़ुद वाक़िफ़ न था
भीड़ में तो साथ था तन्हाइयों में खो गया

हाल के मातम-सरा हैं हम न माज़ी के नक़ीब
अपना मुस्तक़बिल मगर परछाइयों में खो गया

पत्थरों के ढेर पर रख कर चली आई उसे
मामता का दर्द क्यों रुस्वाइयों में खो गया

अपने आँचल से कोई परचम बना पाई न वो
जज़्बा-ए-बे-इख़्तियार अँगनाइयों में खो गया

शाम से पहले समेटी ज़र्द पत्तों ने बिसात
मौसमों का दर्द इन रानाइयों में खो गया

  - Anees Sultana

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anees Sultana

As you were reading Shayari by Anees Sultana

Similar Writers

our suggestion based on Anees Sultana

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari