chaman chaman mein hain barpa ye kaise hangaame
kali ke titli ke bhaunron ke gul ke hangaame
hazaar rang ke phoolon se baagh ki zeenat
bahaar aayi to laai hai itne hangaame
meri khamoshi ke maani kuchh aur hi samjhe
isee liye to uthaaye hain itne hangaame
vo raah bhool chuke the main bach ke kya karti
meri gali mein magar kis qadar the hangaame
hui tujhe kabhi ai dil maal ki parwaah
har ek saans ki dhadkan mein kitne hangaame
zara pata to laga nafratoin ke saudaagar
uthe hain kaun gali se machaaye hangaame
hamaari be-khabri hai saza hamaare liye
andheri raahon mein ugte hain saare hangaame
gham-e-hayaat se bachne ke sau bahaane hain
azeez-tar hain mujhe zindagi ke hangaame
hazaar baar mujhe dhundh kar palat aaye
hain kitne zarf-e-nazar shehar ke ye hangaame
ye dil ki dast-e-talab kar saka kabhi na daraaz
na bhool paaya kabhi aarzoo ke hangaame
anees tum ne basaaye hain dil ki dhadkan mein
takhayyulaat ke aanchal se le ke hangaame
चमन चमन में हैं बरपा ये कैसे हंगामे
कली के तितली के भौँरों के गुल के हंगामे
हज़ार रंग के फूलों से बाग़ की ज़ीनत
बहार आई तो लाई है इतने हंगामे
मिरी ख़मोशी के मा'नी कुछ और ही समझे
इसी लिए तो उठाए हैं इतने हंगामे
वो राह भूल चुके थे मैं बच के क्या करती
मिरी गली में मगर किस क़दर थे हंगामे
हुई तुझे कभी ऐ दिल मआल की परवाह
हर एक साँस की धड़कन में कितने हंगामे
ज़रा पता तो लगा नफ़रतों के सौदागर
उठे हैं कौन गली से मचाए हंगामे
हमारी बे-ख़बरी है सज़ा हमारे लिए
अँधेरी राहों में उगते हैं सारे हंगामे
ग़म-ए-हयात से बचने के सौ बहाने हैं
अज़ीज़-तर हैं मुझे ज़िंदगी के हंगामे
हज़ार बार मुझे ढूँड कर पलट आए
हैं कितने ज़र्फ़-ए-नज़र शहर के ये हंगामे
ये दिल कि दस्त-ए-तलब कर सका कभी न दराज़
न भूल पाया कभी आरज़ू के हंगामे
'अनीस' तुम ने बसाए हैं दिल की धड़कन में
तख़य्युलात के आँचल से ले के हंगामे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anees Sultana
our suggestion based on Anees Sultana
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari