khaali aankhen | "ख़ाली आँखें" - Anshika Shukla

khaali aankhen

nahin khaali nahin rah sakti hain aankhen
akelapan daraata hai unhen
kabhi bahut sukoon se bhari hongi
phir uske alvida kahte hi
khwaab aa jaayenge unki jagah lene
jo poore hue to muskuraahaten bhar denge aankhon mein
warna aansuon ke zarre cheen lenge vo jagah
aur aansuon ke guzar jaane par bhi
milegi tumhein gahan khaamoshi
jo bhari hogi aankhon ke konon mein
jis ke chale jaane ke baad phir dekhoge tum
ek nayi subah ki chamak unmein
to aaj mere kehne par aaina dekhna
ya dekh lena kisi aur ki aankhon mein hi
ye jaanne ke liye ki kya hai tumhaari aankhon mein
jisse pata chale tumhein bhi
ki khaali nahin rah sakti hain aankhen

"ख़ाली आँखें"

नहीं खाली नहीं रह सकती हैं आँखें
अकेलापन डराता है उन्हें
कभी बहुत सुकून से भरी होंगी
फिर उसके अलविदा कहते ही
ख़्वाब आ जाएँगे उनकी जगह लेने
जो पूरे हुए तो मुस्कुराहटें भर देंगे आँखों में
वर्ना आँसुओं के ज़र्रे छीन लेंगे वो जगह
और आँसुओं के गुज़र जाने पर भी
मिलेगी तुम्हें गहन ख़ामोशी
जो भरी होगी आँखों के कोनों में
जिस के चले जाने के बाद फिर देखोगे तुम
एक नई सुबह की चमक उनमें
तो आज मेरे कहने पर आईना देखना
या देख लेना किसी और की आँखों में ही
ये जानने के लिए कि क्या है तुम्हारी आँखों में
जिससे पता चले तुम्हें भी
कि खाली नहीं रह सकती हैं आँखें

- Anshika Shukla
4 Likes

Bijli Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anshika Shukla

As you were reading Shayari by Anshika Shukla

Similar Writers

our suggestion based on Anshika Shukla

Similar Moods

As you were reading Bijli Shayari Shayari