bahte paani ki nishaani aur hai | बहते पानी की निशानी और है

  - Badr Mohammadi

bahte paani ki nishaani aur hai
thehre dariya ki rawaani aur hai

rakh-rakhaav khaandaani aur hai
ho kuaan gahra to paani aur hai

din mein lagti raat-raani aur hai
us ka sach us ki kahaani aur hai

seenchte hain khoon-e-dil se ham unhen
khwahishon ki baaghbaani aur hai

do dinon ke ba'ad ye ham par khula
do dinon ki zindagaani aur hai

jo nahin marti kisi bhi maut se
vo hayaat-e-jaavedaani aur hai

aasmaan ko kyun nahin kahte zameen
us ki mitti to puraani aur hai

बहते पानी की निशानी और है
ठहरे दरिया की रवानी और है

रख-रखाव ख़ानदानी और है
हो कुआँ गहरा तो पानी और है

दिन में लगती रात-रानी और है
उस का सच उस की कहानी और है

सींचते हैं ख़ून-ए-दिल से हम उन्हें
ख़्वाहिशों की बाग़बानी और है

दो दिनों के बा'द ये हम पर खुला
दो दिनों की ज़िंदगानी और है

जो नहीं मरती किसी भी मौत से
वो हयात-ए-जावेदानी और है

आसमाँ को क्यों नहीं कहते ज़मीं
उस की मिट्टी तो पुरानी और है

  - Badr Mohammadi

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badr Mohammadi

As you were reading Shayari by Badr Mohammadi

Similar Writers

our suggestion based on Badr Mohammadi

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari