jab tak nigaar-e-dasht ka seena dukha na tha | जब तक निगार-ए-दश्त का सीना दुखा न था - Bashir Badr

jab tak nigaar-e-dasht ka seena dukha na tha
sehra mein koi laala-e-sehra khila na tha

do jheelein us ki aankhon mein lahara ke so gaeein
us waqt meri umr ka dariya chadha na tha

jaagi na theen nason mein tamannaa ki naaginen
us gandumee sharaab ko jab tak chakha na tha

dhoonda karo jahaan-e-tahayyur mein umr bhar
vo chalti phirti chaanv hai main ne kaha na tha

ik bewafa ke saamne aansu behaate hum
itna hamaari aankh ka paani mara na tha

vo kaale hont jaam samajh kar chadha gaye
vo aab jis se main ne wuzoo tak kiya na tha

sab log apne apne khudaaon ko laaye the
ek hum aise the ki hamaara khuda na tha

vo kaali aankhen shehar mein mashhoor theen bahut
tab un pe mote sheeshon ka chashma chadha na tha

main saahib-e-ghazal tha haseenon ki bazm mein
sar par ghanere baal the maatha khula na tha

जब तक निगार-ए-दश्त का सीना दुखा न था
सहरा में कोई लाला-ए-सहरा खिला न था

दो झीलें उस की आँखों में लहरा के सो गईं
उस वक़्त मेरी उम्र का दरिया चढ़ा न था

जागी न थीं नसों में तमन्ना की नागिनें
उस गंदुमी शराब को जब तक चखा न था

ढूँडा करो जहान-ए-तहय्युर में उम्र भर
वो चलती फिरती छाँव है मैं ने कहा न था

इक बेवफ़ा के सामने आँसू बहाते हम
इतना हमारी आँख का पानी मरा न था

वो काले होंट जाम समझ कर चढ़ा गए
वो आब जिस से मैं ने वुज़ू तक किया न था

सब लोग अपने अपने ख़ुदाओं को लाए थे
एक हम ऐसे थे कि हमारा ख़ुदा न था

वो काली आँखें शहर में मशहूर थीं बहुत
तब उन पे मोटे शीशों का चश्मा चढ़ा न था

मैं साहिब-ए-ग़ज़ल था हसीनों की बज़्म में
सर पर घनेरे बाल थे माथा खुला न था

- Bashir Badr
2 Likes

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari