ham jo mil baitheen to yak-jaan bhi ho sakte hain
poore apne sabhi armaan bhi ho sakte hain
tujh se is tarah pe aa pahuncha hai rishta apna
bin bulaaye tire mehmaan bhi ho sakte hain
ham tire naam ki japte nahin maala hi faqat
ham tire naam pe qurbaan bhi ho sakte hain
dil mein aane ki bhala aap ko daawat main doon
ghar ke maalik kabhi mehmaan bhi ho sakte hain
but-e-kaafir ki parastish pe koi qaid nahin
poojne waale musalmaan bhi ho sakte hain
be-rukhi tu ne bhi barti jo khudaaya un se
tujh se barham tire insaan bhi ho sakte hain
aaj jo gardish-e-dauraan ka udaate hain mazaak
kal wahi log pareshaan bhi ho sakte hain
tu jo samjhe mere armaanon ki ahmiyyat ko
mere armaan tire armaan bhi ho sakte hain
jab khata karte the us waqt na socha ai charkh
ham sar-e-hashr pashemaan bhi ho sakte hain
हम जो मिल बैठें तो यक-जान भी हो सकते हैं
पूरे अपने सभी अरमान भी हो सकते हैं
तुझ से इस तरह पे आ पहुँचा है रिश्ता अपना
बिन बुलाए तिरे मेहमान भी हो सकते हैं
हम तिरे नाम की जपते नहीं माला ही फ़क़त
हम तिरे नाम पे क़ुर्बान भी हो सकते हैं
दिल में आने की भला आप को दावत मैं दूँ
घर के मालिक कभी मेहमान भी हो सकते हैं
बुत-ए-काफ़िर की परस्तिश पे कोई क़ैद नहीं
पूजने वाले मुसलमान भी हो सकते हैं
बे-रुख़ी तू ने भी बरती जो ख़ुदाया उन से
तुझ से बरहम तिरे इंसान भी हो सकते हैं
आज जो गर्दिश-ए-दौराँ का उड़ाते हैं मज़ाक़
कल वही लोग परेशान भी हो सकते हैं
तू जो समझे मिरे अरमानों की अहमिय्यत को
मेरे अरमाँ तिरे अरमान भी हो सकते हैं
जब ख़ता करते थे उस वक़्त न सोचा ऐ 'चर्ख़'
हम सर-ए-हश्र पशेमान भी हो सकते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charkh Chinioti
our suggestion based on Charkh Chinioti
As you were reading Sazaa Shayari Shayari