qaraar kho ke chale be-qaraar ho ke chale
ada ada pe tiri ham nisaar ho ke chale
rah-e-wafa mein raqabat ke mod bhi hain bahut
ye dil se kah do zara hoshiyaar ho ke chale
kisi ke kehne pe toofaan mein daal di kashti
khuda kare ki hawa saazgaar ho ke chale
hamein to naaz hai apne haseen gunaahon par
vo log aur the jo sharmasaar ho ke chale
tumhaari ambareen zulfon ko choo ke aayi hai
hawa ki mauj na kyun mushk-baar ho ke chale
vo jeete-ji to na aaye mizaaj-pursi ko
janaaza dekha to saath ashk-baar ho ke chale
nazar ne mil ke nazar se mila diya ham ko
ye rabt-e-baahmi ab ustuvaar ho ke chale
vo arz-e-wasl pe khaamosh ho ke baith gaye
na aar ho ke chale vo na paar ho ke chale
azal se charkh'-e-tabee'at shagufta hai apni
jo milne aaye vo baag-o-bahaar ho ke chale
क़रार खो के चले बे-क़रार हो के चले
अदा अदा पे तिरी हम निसार हो के चले
रह-ए-वफ़ा में रक़ाबत के मोड़ भी हैं बहुत
ये दिल से कह दो ज़रा होशियार हो के चले
किसी के कहने पे तूफ़ाँ में डाल दी कश्ती
ख़ुदा करे कि हवा साज़गार हो के चले
हमें तो नाज़ है अपने हसीं गुनाहों पर
वो लोग और थे जो शर्मसार हो के चले
तुम्हारी अम्बरीं ज़ुल्फ़ों को छू के आई है
हवा की मौज न क्यूँ मुश्क-बार हो के चले
वो जीते-जी तो न आए मिज़ाज-पुर्सी को
जनाज़ा देखा तो साथ अश्क-बार हो के चले
नज़र ने मिल के नज़र से मिला दिया हम को
ये रब्त-ए-बाहमी अब उस्तुवार हो के चले
वो अर्ज़-ए-वस्ल पे ख़ामोश हो के बैठ गए
न आर हो के चले वो न पार हो के चले
अज़ल से 'चर्ख़'-ए-तबीअ'त शगुफ़्ता है अपनी
जो मिलने आए वो बाग़-ओ-बहार हो के चले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charkh Chinioti
our suggestion based on Charkh Chinioti
As you were reading Shama Shayari Shayari