fazaa mein kaif-fashaan phir sahaab hai saaqi
phir apne rang pe daur-e-shabaab hai saaqi
ye talkh yaadein kam-az-kam bhula to deti hai
sharaab kuchh bhi ho aakhir sharaab hai saaqi
jo apni hasti ki masti mita ke aata hai
tire huzoor wahi baaryaab hai saaqi
gham-e-firaq gham-e-zindagi gham-e-duniya
sharaab saare ghamon ka jawaab hai saaqi
tiri nigaahon se maykhaane jaam bharte hain
tiri nigaahon ka koi jawaab hai saaqi
b-qaul-e-'charkh yahan mastiyaan ubharti hain
ye may-kada to jahaan-e-shabaab hai saaqi
फ़ज़ा में कैफ़-फ़शाँ फिर सहाब है साक़ी
फिर अपने रंग पे दौर-ए-शबाब है साक़ी
ये तल्ख़ यादें कम-अज़-कम भुला तो देती है
शराब कुछ भी हो आख़िर शराब है साक़ी
जो अपनी हस्ती की मस्ती मिटा के आता है
तिरे हुज़ूर वही बारयाब है साक़ी
ग़म-ए-फ़िराक़ ग़म-ए-ज़िंदगी ग़म-ए-दुनिया
शराब सारे ग़मों का जवाब है साक़ी
तिरी निगाहों से मयख़ाने जाम भरते हैं
तिरी निगाहों का कोई जवाब है साक़ी
ब-क़ौल-ए-'चर्ख़' यहाँ मस्तियाँ उभरती हैं
ये मय-कदा तो जहान-ए-शबाब है साक़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charkh Chinioti
our suggestion based on Charkh Chinioti
As you were reading Wajood Shayari Shayari