baat kehne ke liye baat banaai na gai | बात कहने के लिए बात बनाई न गई

  - Charkh Chinioti

baat kehne ke liye baat banaai na gai
ham se baaraat farebon ki sajaai na gai

aaj bhi daar ke takhte se sada aati hai
haq ki awaaz sitamgar se dabaai na gai

dost karte hain hasad is liye teri tasveer
maa-siwaa dil ke kahi aur sajaai na gai

gham ki tasveer banaane ko main jab bhi baitha
un ki muskaan ubhar aayi banaai na gai

nayi tahzeeb ke khaakon ko sanwaara ham ne
ham se akhlaaq ki tasveer banaai na gai

jaane kya soojhi meri qabr par aa kar un se
gul chadaaye na gaye sham'a jalai na gai

main to baat aayi gai kar ke chala aaya tha
ho gai baat paraai vo dabaai na gai

us ne hangaamon se behlaai hai apni duniya
waqt se amn ki shehnai bajai na gai

charkh dekhe jo jawaani ke ubharte jalwe
zindagi apni gunaahon se bachaai na gai

बात कहने के लिए बात बनाई न गई
हम से बारात फ़रेबों की सजाई न गई

आज भी दार के तख़्ते से सदा आती है
हक़ की आवाज़ सितमगर से दबाई न गई

दोस्त करते हैं हसद इस लिए तेरी तस्वीर
मा-सिवा दिल के कहीं और सजाई न गई

ग़म की तस्वीर बनाने को मैं जब भी बैठा
उन की मुस्कान उभर आई बनाई न गई

नई तहज़ीब के ख़ाकों को सँवारा हम ने
हम से अख़्लाक़ की तस्वीर बनाई न गई

जाने क्या सूझी मिरी क़ब्र पर आ कर उन से
गुल चढ़ाए न गए शम्अ' जलाई न गई

मैं तो बात आई गई कर के चला आया था
हो गई बात पराई वो दबाई न गई

उस ने हंगामों से बहलाई है अपनी दुनिया
वक़्त से अम्न की शहनाई बजाई न गई

'चर्ख़' देखे जो जवानी के उभरते जल्वे
ज़िंदगी अपनी गुनाहों से बचाई न गई

  - Charkh Chinioti

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Charkh Chinioti

As you were reading Shayari by Charkh Chinioti

Similar Writers

our suggestion based on Charkh Chinioti

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari