jab sar-e-baam vo khurshīd-jamaal aata hai | जब सर-ए-बाम वो ख़ुर्शीद-जमाल आता है - Charkh Chinioti

jab sar-e-baam vo khurshīd-jamaal aata hai
zarre zarre pe qayamat ka jalaal aata hai

phool muskaate hain lehraati hai tahni tahni
fasl-e-gul aate hi har shay pe jamaal aata hai

vo janam-din pe bulaate hain hamesha mujh ko
har naya saal b-andaaz-e-visaal aata hai

kyun tire hont mujhe dete hain manfi mein jawaab
mere honton pe ye rah rah ke sawaal aata hai

jab sawaali koi aa jaata hai dar par to mujhe
us ki bakshi hui ne'mat ka khayal aata hai

un ke khilte hue joban ko vo murjha na saka
aane ko daur-e-khizaan saal-b-saal aata hai

mujhe jachti hi nahin aur kisi ki soorat
jab khayal aata hai tera hi khayal aata hai

taare ginwaati hain phir hijr ki kaali raatein
jab mujhe yaad koi zohra-jamaal aata hai

yun rukh-e-zard chamak uthata hai aane pe tire
jaise holi mein koi mal ke gulaal aata hai

apne haathon ke pale log jo ho jaayen khilaaf
un ke akhlaaq pe ai charkh malaal aata hai

जब सर-ए-बाम वो ख़ुर्शीद-जमाल आता है
ज़र्रे ज़र्रे पे क़यामत का जलाल आता है

फूल मुस्काते हैं लहराती है टहनी टहनी
फ़स्ल-ए-गुल आते ही हर शय पे जमाल आता है

वो जनम-दिन पे बुलाते हैं हमेशा मुझ को
हर नया साल ब-अंदाज़-ए-विसाल आता है

क्यूँ तिरे होंट मुझे देते हैं मंफ़ी में जवाब
मेरे होंटों पे ये रह रह के सवाल आता है

जब सवाली कोई आ जाता है दर पर तो मुझे
उस की बख़्शी हुई ने'मत का ख़याल आता है

उन के खिलते हुए जोबन को वो मुरझा न सका
आने को दौर-ए-ख़िज़ाँ साल-ब-साल आता है

मुझे जचती ही नहीं और किसी की सूरत
जब ख़याल आता है तेरा ही ख़याल आता है

तारे गिनवाती हैं फिर हिज्र की काली रातें
जब मुझे याद कोई ज़ोहरा-जमाल आता है

यूँ रुख़-ए-ज़र्द चमक उठता है आने पे तिरे
जैसे होली में कोई मल के गुलाल आता है

अपने हाथों के पले लोग जो हो जाएँ ख़िलाफ़
उन के अख़्लाक़ पे ऐ 'चर्ख़' मलाल आता है

- Charkh Chinioti
0 Likes

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Charkh Chinioti

As you were reading Shayari by Charkh Chinioti

Similar Writers

our suggestion based on Charkh Chinioti

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari