be-khudi mein hai na vo pee kar sambhal jaane mein hai
lutf pa-e-yaar par jo laghzishein khaane mein hai
tere wa'de teri yaadein tere nagme tere khwaab
husn se bharpoor daulat mere kaashaane mein hai
saagar-o-meena mein lehraati hai har mauj-e-sharaab
ik jawaani ka talaatum aaj maykhaane mein hai
bazm-e-duniya mein hain husn-o-ishq yun jalwa-numa
raushni hai sham'a mein to soz parwaane mein hai
may ki ik ik boond se toofaan-e-masti hai ayaan
kis ki may-baar ankhadiyon ka aks paimaane mein hai
noor ki baarish abhi hone de thodi der aur
ik zara si der hi to raat dhal jaane mein hai
laakh fitrat ne dikhaai barq ki chashmak-zani
us mein vo shokhi kahaan jo tere sharmaane mein hai
jaan bhi dil bhi jigar bhi aarzoo-e-wasl bhi
un ke pesh apna sabhi kuchh aaj nazaane mein hai
may ubhar kar jaam mein angadaaiyaan lene lagi
kaisa madd-o-jazr saaqi tere maykhaane mein hai
charkh main na-aashnaa hoon hijr ke maahol se
vasl ka rangeen pahluu mere afsaane mein hai
बे-ख़ुदी में है न वो पी कर सँभल जाने में है
लुत्फ़ पा-ए-यार पर जो लग़्ज़िशें खाने में है
तेरे वा'दे तेरी यादें तेरे नग़्मे तेरे ख़्वाब
हुस्न से भरपूर दौलत मेरे काशाने में है
साग़र-ओ-मीना में लहराती है हर मौज-ए-शराब
इक जवानी का तलातुम आज मयख़ाने में है
बज़्म-ए-दुनिया में हैं हुस्न-ओ-इश्क़ यूँ जल्वा-नुमा
रौशनी है शम्अ' में तो सोज़ परवाने में है
मय की इक इक बूँद से तूफ़ान-ए-मस्ती है अयाँ
किस की मय-बार अँखड़ियों का अक्स पैमाने में है
नूर की बारिश अभी होने दे थोड़ी देर और
इक ज़रा सी देर ही तो रात ढल जाने में है
लाख फ़ितरत ने दिखाई बर्क़ की चश्मक-ज़नी
उस में वो शोख़ी कहाँ जो तेरे शरमाने में है
जान भी दिल भी जिगर भी आरज़ू-ए-वस्ल भी
उन के पेश अपना सभी कुछ आज नज़राने में है
मय उभर कर जाम में अंगड़ाइयाँ लेने लगी
कैसा मद्द-ओ-जज़्र साक़ी तेरे मयख़ाने में है
'चर्ख़' मैं ना-आश्ना हूँ हिज्र के माहौल से
वस्ल का रंगीन पहलू मेरे अफ़्साने में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charkh Chinioti
our suggestion based on Charkh Chinioti
As you were reading Greed Shayari Shayari