husn ke jalwe lutaaye tiri ra'naai ne
raaz sab khol diye ek hi angadaai ne
rang bhar kar tiri tasveer mein jazb-e-gham ka
apni tasveer bana di tire saudaai ne
wasl-e-mahboob ki tadbeer sujhaai mujh ko
haq-parasti ne aqeedat ne jabeen-saai ne
ham ne socha tha ki bujh jaayenge gham ke sholay
aa ke kuchh aur hawa di unhen purvaai ne
shorish-e-dehr ne begaana kiya khud se mujhe
aagahi bakshi mujhe gosha-e-tanhaai ne
ek ma'soom se chehre pe raunat ki numood
haaye kya zulm kiya aalam-e-barnaai ne
gardish-e-waqt ne maykhaane mein dam tod diya
jaane kya cheez pila di tire sahabaai ne
rukh tamaashe ka badal daala achaanak aa kar
ek khush-chehra khush-andaaz tamaashaai ne
charkh aapas ke ta'alluq ka ye andaaz bhi dekh
kar diya un ko bhi rusva meri ruswaai ne
हुस्न के जल्वे लुटाए तिरी रा'नाई ने
राज़ सब खोल दिए एक ही अंगड़ाई ने
रंग भर कर तिरी तस्वीर में जज़्ब-ए-ग़म का
अपनी तस्वीर बना दी तिरे सौदाई ने
वस्ल-ए-महबूब की तदबीर सुझाई मुझ को
हक़-परस्ती ने अक़ीदत ने जबीं-साई ने
हम ने सोचा था कि बुझ जाएँगे ग़म के शो'ले
आ के कुछ और हवा दी उन्हें पुर्वाई ने
शोरिश-ए-दहर ने बेगाना किया ख़ुद से मुझे
आगही बख़्शी मुझे गोशा-ए-तन्हाई ने
एक मा'सूम से चेहरे पे रऊनत की नुमूद
हाए क्या ज़ुल्म किया आलम-ए-बरनाई ने
गर्दिश-ए-वक़्त ने मयख़ाने में दम तोड़ दिया
जाने क्या चीज़ पिला दी तिरे सहबाई ने
रुख़ तमाशे का बदल डाला अचानक आ कर
एक ख़ुश-चेहरा ख़ुश-अंदाज़ तमाशाई ने
चर्ख़ आपस के तअ'ल्लुक़ का ये अंदाज़ भी देख
कर दिया उन को भी रुस्वा मिरी रुस्वाई ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charkh Chinioti
our suggestion based on Charkh Chinioti
As you were reading Diversity Shayari Shayari