tanhaai mein aaj un se mulaqaat hui hai
jis baat ki khwaahish thi wahi baat hui hai
aankhon se gire ashk tapaataap to vo bole
baadal ke baghair aaj ye barsaat hui hai
samjha hoon usi din hi se main zeest ka mafhoom
jis din se meri tum se mulaqaat hui hai
khwaabon mein mulaqaatein to hoti raheen akshar
ba-nafs-e-nafees aaj mulaqaat hui hai
maqsad tha mile gham se najaat is liye ai charkh
ik umr meri waqf-e-khiraajat hui hai
तन्हाई में आज उन से मुलाक़ात हुई है
जिस बात की ख़्वाहिश थी वही बात हुई है
आँखों से गिरे अश्क टपाटप तो वो बोले
बादल के बग़ैर आज ये बरसात हुई है
समझा हूँ उसी दिन ही से मैं ज़ीस्त का मफ़्हूम
जिस दिन से मिरी तुम से मुलाक़ात हुई है
ख़्वाबों में मुलाक़ातें तो होती रहीं अक्सर
बा-नफ़्स-ए-नफ़ीस आज मुलाक़ात हुई है
मक़्सद था मिले ग़म से नजात इस लिए ऐ 'चर्ख़'
इक उम्र मिरी वक़्फ़-ए-ख़िराजात हुई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charkh Chinioti
our suggestion based on Charkh Chinioti
As you were reading Gham Shayari Shayari