bata roz-marra ki zindagi tu ne ye wafa ka sila diya | बता रोज़-मर्रा की ज़िंदगी तू ने ये वफ़ा का सिला दिया

  - Chhabi Saksena Sahai Saba

bata roz-marra ki zindagi tu ne ye wafa ka sila diya
mere saath jo bhi rifaqatein theen sabhi se parda hata diya

mujhe chhedte hain vo baarha jo kabhi badhaate the hausla
to main kya karoon mujhe manzilon ne hi raaste se hata diya

mere ham-nava mujhe aap se hain shikaayaten bhi bahut si ab
ki nawaazishon ke urooj pe kyun chadha chadha ke gira diya

mujhe maat dete hain mustaqil meri justuju ke ye qafile
kabhi rukh hawa ka jo saath tha usi mod pe hi jhuka diya

meri zindagi bhi tumhi se hai go karam bhi tera hai mukhtasar
mere gham ki dhund ko pyaar ka tu ne sahaba jo tha pila diya

saba aaj bhi ye yaqeen hai jo baqa dua ki panaah mein
mere rab ne jun mere aasmaan ko zameen par jo bichha diya

बता रोज़-मर्रा की ज़िंदगी तू ने ये वफ़ा का सिला दिया
मिरे साथ जो भी रिफाक़तें थीं सभी से पर्दा हटा दिया

मुझे छेड़ते हैं वो बारहा जो कभी बढ़ाते थे हौसला
तो मैं क्या करूँ मुझे मंज़िलों ने ही रास्ते से हटा दिया

मिरे हम-नवा मुझे आप से हैं शिकायतें भी बहुत सी अब
कि नवाज़िशों के उरूज पे क्यों चढ़ा चढ़ा के गिरा दिया

मुझे मात देते हैं मुस्तक़िल मिरी जुस्तुजू के ये क़ाफ़िले
कभी रुख़ हवा का जो साथ था उसी मोड़ पे ही झुका दिया

मिरी ज़िंदगी भी तुम्ही से है गो करम भी तेरा है मुख़्तसर
मेरे ग़म की धुँद को प्यार का तू ने सहबा जो था पिला दिया

'सबा' आज भी ये यक़ीन है जो बक़ा दुआ की पनाह में
मेरे रब ने जूँ मिरे आसमाँ को ज़मीन पर जो बिछा दिया

  - Chhabi Saksena Sahai Saba

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chhabi Saksena Sahai Saba

As you were reading Shayari by Chhabi Saksena Sahai Saba

Similar Writers

our suggestion based on Chhabi Saksena Sahai Saba

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari