shaam se zid par arde hain | शाम से ज़िद पर अड़े हैं

  - Deepak Jain Deep

shaam se zid par arde hain
khwaab palkon par khade hain

ye shikan-aalood bistar
neend ke tukde pade hain

raat ki kaali rida mein
qeemti moti jade hain

raat bhar paagal hawa se
ghar ke darwaaze lade hain

ho sake to sar jhuka le
waqt ke tevar karde hain

शाम से ज़िद पर अड़े हैं
ख़्वाब पलकों पर खड़े हैं

ये शिकन-आलूद बिस्तर
नींद के टुकड़े पड़े हैं

रात की काली रिदा में
क़ीमती मोती जड़े हैं

रात भर पागल हवा से
घर के दरवाज़े लड़े हैं

हो सके तो सर झुका ले
वक़्त के तेवर कड़े हैं

  - Deepak Jain Deep

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deepak Jain Deep

As you were reading Shayari by Deepak Jain Deep

Similar Writers

our suggestion based on Deepak Jain Deep

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari