in aandhiyon ke saath kai ghonsle gaye | इन आँधियों के साथ कई घोंसले गए - Dilshad Naseem

in aandhiyon ke saath kai ghonsle gaye
tum kya gaye ki mere to sab hausale gaye

ik khwaab main ne dekha tha pichhle pahar koi
agle pahar ki neend ke lo silsile gaye

ik chaand aasmaan pe ik mere saamne
in qurbaton mein dil ke sabhi faasle gaye

hain hichakiyaan bhi gham ki aur aahen hain aansu bhi
dekho ghareeb-e-shehr ki sab qafile gaye

इन आँधियों के साथ कई घोंसले गए
तुम क्या गए कि मेरे तो सब हौसले गए

इक ख़्वाब मैं ने देखा था पिछले पहर कोई
अगले पहर की नींद के लो सिलसिले गए

इक चाँद आसमान पे इक मेरे सामने
इन क़ुर्बतों में दिल के सभी फ़ासले गए

हैं हिचकियाँ भी ग़म की और आहें हैं आँसू भी
देखो ग़रीब-ए-शहर कि सब क़ाफ़िले गए

- Dilshad Naseem
0 Likes

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilshad Naseem

As you were reading Shayari by Dilshad Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Dilshad Naseem

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari