na jaane kaisi mohabbat ke wa'de raat jale | न जाने कैसी मोहब्बत के वा'दे रात जले - Dilshad Naseem

na jaane kaisi mohabbat ke wa'de raat jale
jala jo khat to sakhi mere dono haath jale

guzaara din jo udaasi mein shaam kehne lagi
bahut akeli hoon main koi mere saath jale

palat ke haal na poocha fareb-kaaron ne
ye dil ke saath mere ek aur ghaat jale

ganwa ke baithi hoon main aaj apna sabr-o-qaraar
ki saath chaand ke meri tu saari raat jale

main us kahaani ka kirdaar hoon ki jis mein sada
wafa ko likhne se pehle hi mera haath jale

khizaan ke ba'ad bahaaron ki raah dekhi to
ye haif sad ki meri aarzoo ke paat jale

hai pyaas aisi ki dilshaad aansu tak hain piye
ki tere hijr mein dil mera baat baat jale

न जाने कैसी मोहब्बत के वा'दे रात जले
जला जो ख़त तो सखी मेरे दोनों हाथ जले

गुज़ारा दिन जो उदासी में शाम कहने लगी
बहुत अकेली हूँ मैं कोई मेरे साथ जले

पलट के हाल न पूछा फ़रेब-कारों ने
ये दिल के साथ मिरे एक और घात जले

गँवा के बैठी हूँ मैं आज अपना सब्र-ओ-क़रार
कि साथ चाँद के मेरी तू सारी रात जले

मैं उस कहानी का किरदार हूँ कि जिस में सदा
वफ़ा को लिखने से पहले ही मेरा हाथ जले

ख़िज़ाँ के बा'द बहारों की राह देखी तो
ये हैफ़ सद कि मिरी आरज़ू के पात जले

है प्यास ऐसी कि 'दिलशाद' आँसू तक हैं पिए
कि तेरे हिज्र में दिल मेरा बात बात जले

- Dilshad Naseem
0 Likes

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilshad Naseem

As you were reading Shayari by Dilshad Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Dilshad Naseem

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari