jaagte rahna hai ab khwaab ki ta'beer talak | जागते रहना है अब ख़्वाब की ता'बीर तलक - Dilshad Naseem

jaagte rahna hai ab khwaab ki ta'beer talak
dard sahna hai ye tiryaaq ki taaseer talak

is mein saaya koi ban jaaye to aa jaana tum
hum yahin baithege deewaar ki ta'aamir talak

aap ke saath bas ik shaam bitaane ke liye
daav pe dil ki laga daali hai jaageer talak

aasmaan par jo sitaaron ki thi mehfil is mein
hum ne dekhi thi numayaan tiri tasveer talak

aaj dilshaad ne phir ek ghazal likh daali
silsila jaayega ghalib se kabhi meer talak

जागते रहना है अब ख़्वाब की ता'बीर तलक
दर्द सहना है ये तिरयाक की तासीर तलक

इस में साया कोई बन जाए तो आ जाना तुम
हम यहीं बैठेंगे दीवार की ता'मीर तलक

आप के साथ बस इक शाम बिताने के लिए
दाव पे दिल की लगा डाली है जागीर तलक

आसमाँ पर जो सितारों की थी महफ़िल इस में
हम ने देखी थी नुमायाँ तिरी तस्वीर तलक

आज 'दिलशाद' ने फिर एक ग़ज़ल लिख डाली
सिलसिला जाएगा 'ग़ालिब' से कभी 'मीर' तलक

- Dilshad Naseem
0 Likes

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilshad Naseem

As you were reading Shayari by Dilshad Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Dilshad Naseem

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari