aap jab bhi kabhi muskuraane lage | आप जब भी कभी मुस्कुराने लगे - Dilshad Naseem

aap jab bhi kabhi muskuraane lage
dard jitne the mere suhaane lage

raat poori khadi hai abhi sahan mein
taare mujh ko abhi se jagaane lage

khwaab jalte hue rakh diye raah par
be-sahaara the vo sab thikaane lage

is qadar jaan ko ho raha tha malaal
aap roothe nahin hum manaane lage

ab ke shaayad vo aayega is shehar mein
baam par hum diye to jalane lage

bah gaya aankh se mera kaajal to phir
ranj-o-gham dil ke sab hi chhupaane lage

is qadar meherbaan vo kahaan mujh pe the
jis qadar vo mujhe ab jataane lage

आप जब भी कभी मुस्कुराने लगे
दर्द जितने थे मेरे सुहाने लगे

रात पूरी खड़ी है अभी सहन में
तारे मुझ को अभी से जगाने लगे

ख़्वाब जलते हुए रख दिए राह पर
बे-सहारा थे वो सब ठिकाने लगे

इस क़दर जान को हो रहा था मलाल
आप रूठे नहीं हम मनाने लगे

अब के शायद वो आएगा इस शहर में
बाम पर हम दिए तो जलाने लगे

बह गया आँख से मेरा काजल तो फिर
रंज-ओ-ग़म दिल के सब ही छुपाने लगे

इस क़दर मेहरबाँ वो कहाँ मुझ पे थे
जिस क़दर वो मुझे अब जताने लगे

- Dilshad Naseem
0 Likes

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilshad Naseem

As you were reading Shayari by Dilshad Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Dilshad Naseem

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari