hum aayat-e-quraani us waqt hi padhte hain | हम आयत-ए-क़ुरआनी उस वक़्त ही पढ़ते हैं - Dilshad Naseem

hum aayat-e-quraani us waqt hi padhte hain
ho jaan hatheli par toofaan se guzarte hain

kab taab-e-nazara hai bas deed ki hasrat hai
mil jaao kisi din tum din raat tadpate hain

rehta hai mohabbat ko har waqt hi dhadka sa
mausam ki tarah kahte hain dost badalte hain

ye raat ki raani to ab meri saheli hai
hum hanste hain dono hi dono hi mehakte hain

dete hain mujhe har din taarikh vo aane ki
va'don se mukarte hain kab ishq vo karte hain

socha hai tumhein itna par yaad nahin kitna
shab yun hi guzarti hai hum aahen hi bharte hain

in reshmi yaadon ne uljha ke rakha mujh ko
din mere to akshar ab raaton se uljhte hain

jin pyaar ke lamhon se dil shaad sa rehta tha
dilshaad wahi lamhe ranjoor sa karte hain

हम आयत-ए-क़ुरआनी उस वक़्त ही पढ़ते हैं
हो जान हथेली पर तूफ़ाँ से गुज़रते हैं

कब ताब-ए-नज़ारा है बस दीद की हसरत है
मिल जाओ किसी दिन तुम दिन रात तड़पते हैं

रहता है मोहब्बत को हर वक़्त ही धड़का सा
मौसम की तरह कहते हैं दोस्त बदलते हैं

ये रात की रानी तो अब मेरी सहेली है
हम हँसते हैं दोनों ही दोनों ही महकते हैं

देते हैं मुझे हर दिन तारीख़ वो आने की
वा'दों से मुकरते हैं कब इश्क़ वो करते हैं

सोचा है तुम्हें इतना पर याद नहीं कितना
शब यूँ ही गुज़रती है हम आहें ही भरते हैं

इन रेशमी यादों ने उलझा के रखा मुझ को
दिन मेरे तो अक्सर अब रातों से उलझते हैं

जिन प्यार के लम्हों से दिल शाद सा रहता था
'दिलशाद' वही लम्हे रंजूर सा करते हैं

- Dilshad Naseem
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilshad Naseem

As you were reading Shayari by Dilshad Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Dilshad Naseem

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari