raasta koi dekhta hoga | रास्ता कोई देखता होगा - Dilshad Naseem

raasta koi dekhta hoga
koi aage nikal gaya hoga

raat pahluu mein so gai mere
raat ko chain aa gaya hoga

meri aankhon mein ashk aane lage
kya mujhe ishq ab ata hoga

jis ko maazi sukoon deta hai
kis tarah mujh ko bhoolta hoga

khoobsurat hain is liye patthar
koi in mein khuda raha hoga

zindagi talkh to nahin lekin
waqia koi ho gaya hoga

naam bhi mera us ko yaad nahin
aur kaise koi juda hoga

dekho dilshaad gham nahin karte
kabhi vo bhi to mubtala hoga

रास्ता कोई देखता होगा
कोई आगे निकल गया होगा

रात पहलू में सो गई मेरे
रात को चैन आ गया होगा

मिरी आँखों में अश्क आने लगे
क्या मुझे इश्क़ अब अता होगा

जिस को माज़ी सुकून देता है
किस तरह मुझ को भूलता होगा

ख़ूबसूरत हैं इस लिए पत्थर
कोई इन में ख़ुदा रहा होगा

ज़िंदगी तल्ख़ तो नहीं लेकिन
वाक़िआ' कोई हो गया होगा

नाम भी मेरा उस को याद नहीं
और कैसे कोई जुदा होगा

देखो 'दिलशाद' ग़म नहीं करते
कभी वो भी तो मुब्तला होगा

- Dilshad Naseem
0 Likes

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilshad Naseem

As you were reading Shayari by Dilshad Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Dilshad Naseem

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari