zamaane ko ulfat ka dastoor kar doon | ज़माने को उल्फ़त का दस्तूर कर दूँ - Dilshad Naseem

zamaane ko ulfat ka dastoor kar doon
main teri kahaani ko mashhoor kar doon

tire saamne ro luun jee chahta hai
tire dil ko bhi gham se main choor kar doon

maseeha ka ehsaan nahin chahti hoon
main zakhamon ko apne hi angoor kar doon

mere ishq par koi tohmat na dharna
agar tum kaho khud ko mansoor kar doon

agar mil sake mujh ko ashkon ke badle
gham-e-ishq se khud ko ma'amoor kar doon

agar aankh bhar ke vo dekhe mujhe to
main dil us ki khidmat pe maamoor kar doon

gira doon main nafrat ki deewarein saari
mohabbat ko duniya ka manshoor kar doon

ज़माने को उल्फ़त का दस्तूर कर दूँ
मैं तेरी कहानी को मशहूर कर दूँ

तिरे सामने रो लूँ जी चाहता है
तिरे दिल को भी ग़म से मैं चूर कर दूँ

मसीहा का एहसाँ नहीं चाहती हूँ
मैं ज़ख़्मों को अपने ही अंगूर कर दूँ

मिरे इश्क़ पर कोई तोहमत न धरना
अगर तुम कहो ख़ुद को मंसूर कर दूँ

अगर मिल सके मुझ को अश्कों के बदले
ग़म-ए-इश्क़ से ख़ुद को मा'मूर कर दूँ

अगर आँख भर के वो देखे मुझे तो
मैं दिल उस की ख़िदमत पे मामूर कर दूँ

गिरा दूँ मैं नफ़रत की दीवारें सारी
मोहब्बत को दुनिया का मंशूर कर दूँ

- Dilshad Naseem
0 Likes

Shohrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilshad Naseem

As you were reading Shayari by Dilshad Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Dilshad Naseem

Similar Moods

As you were reading Shohrat Shayari Shayari