meri khizaan to sabz hui is khumaar mein | मेरी ख़िज़ाँ तो सब्ज़ हुई इस ख़ुमार में - Dilshad Naseem

meri khizaan to sabz hui is khumaar mein
aane ka us ne wa'da kiya hai bahaar mein

rakhi hui hai laaj meri mere ishq ne
warna to kya rakha hua hai intizaar mein

ghar bhi mujhe to dasht sa lagta hai tere bin
lagta nahin hai dil mera ujde dayaar mein

ab jo sulook tu kare ye zarf hai tira
main aa gai hoon aaj tire ikhtiyaar mein

raushan na ho saki kabhi ye shaam-e-gham meri
main ne jalaae deep kai e'tibaar mein

meri wafa ke zikr pe us ki vo khaamoshi
saare jawaab mil gaye is ikhtisaar mein

dekhi to hogi raah meri us ne bhi kabhi
aaya bhi hoga ashk mere chashm-e-yaar mein

dekha hai main ne mo'jiza dilshaad aisa bhi
hansne se us ke gul khile hain kunj-e-khaar mein

मेरी ख़िज़ाँ तो सब्ज़ हुई इस ख़ुमार में
आने का उस ने वा'दा किया है बहार में

रक्खी हुई है लाज मिरी मेरे इश्क़ ने
वर्ना तो क्या रखा हुआ है इंतिज़ार में

घर भी मुझे तो दश्त सा लगता है तेरे बिन
लगता नहीं है दिल मिरा उजड़े दयार में

अब जो सुलूक तू करे ये ज़र्फ़ है तिरा
मैं आ गई हूँ आज तिरे इख़्तियार में

रौशन न हो सकी कभी ये शाम-ए-ग़म मिरी
मैं ने जलाए दीप कई ए'तिबार में

मेरी वफ़ा के ज़िक्र पे उस की वो ख़ामुशी
सारे जवाब मिल गए इस इख़्तिसार में

देखी तो होगी राह मिरी उस ने भी कभी
आया भी होगा अश्क मिरे चश्म-ए-यार में

देखा है मैं ने मो'जिज़ा 'दिलशाद' ऐसा भी
हँसने से उस के गुल खिले हैं कुंज-ए-ख़ार में

- Dilshad Naseem
0 Likes

Wafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilshad Naseem

As you were reading Shayari by Dilshad Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Dilshad Naseem

Similar Moods

As you were reading Wafa Shayari Shayari