kis ke sapnon se meri neend saji rahti hai | किस के सपनों से मिरी नींद सजी रहती है - Dinesh naaidu

kis ke sapnon se meri neend saji rahti hai
jaagta hoon to in aankhon mein nami rahti hai

dhoondhta rehta hoon be-sudh main kisi maachis ko
ek cigarette mere honton se lagi rahti hai

ek tasveer saleeke se rakhi hai ghar mein
baaki har cheez to bas yun hi padi rahti hai

aise aalam mein jahaan koi nahin kehta kuch
ye sadaaon ki fazaa kaise bani rahti hai

dhalt jaata hoon andheron mein main rafta-rafta
chaandni door kahi door khadi rahti hai

main tire paas khalaon mein pahunch jaata hoon
aur ik laash kahi ghar mein padi rahti hai

किस के सपनों से मिरी नींद सजी रहती है
जागता हूँ तो इन आँखों में नमी रहती है

ढूँढता रहता हूँ बे-सुध मैं किसी माचिस को
एक सिगरेट मिरे होंटों से लगी रहती है

एक तस्वीर सलीक़े से रखी है घर में
बाक़ी हर चीज़ तो बस यूँ ही पड़ी रहती है

ऐसे आलम में जहाँ कोई नहीं कहता कुछ
ये सदाओं की फ़ज़ा कैसे बनी रहती है

ढलता जाता हूँ अँधेरों में मैं रफ़्ता-रफ़्ता
चाँदनी दूर कहीं दूर खड़ी रहती है

मैं तिरे पास ख़लाओं में पहुँच जाता हूँ
और इक लाश कहीं घर में पड़ी रहती है

- Dinesh naaidu
0 Likes

Cigarette Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh naaidu

As you were reading Shayari by Dinesh naaidu

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh naaidu

Similar Moods

As you were reading Cigarette Shayari Shayari