mujh mein aabaad saraabo ka ilaqa karne
phir chali aayi tiri yaad ujaala karne
din mera phir bhi kisi taur guzar jaayega
raat aayegi udaasi ko kushaada karne
aur be-waqt chala aata hai saawan mujh mein
ek guzre hue mausam ka taqaza karne
main ne jalte hue sehra mein tira naam liya
saaebaan khud hi chala aaya hai saaya karne
kaisa laava hai tah-e-aab yahan aankhon mein
kaun aaya hai samundar ko jazeera karne
मुझ में आबाद सराबों का इलाक़ा करने
फिर चली आई तिरी याद उजाला करने
दिन मिरा फिर भी किसी तौर गुज़र जाएगा
रात आएगी उदासी को कुशादा करने
और बे-वक़्त चला आता है सावन मुझ में
एक गुज़रे हुए मौसम का तक़ाज़ा करने
मैं ने जलते हुए सहरा में तिरा नाम लिया
साएबाँ ख़ुद ही चला आया है साया करने
कैसा लावा है तह-ए-आब यहाँ आँखों में
कौन आया है समुंदर को जज़ीरा करने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dinesh naaidu
our suggestion based on Dinesh naaidu
As you were reading Samundar Shayari Shayari