chaak par mitti ko mar jaana hai
khwaab-e-ta'meer bikhar jaana hai
ham ko us dasht mein jaana hoga
vahshaton ka yahi harjaana hai
saahibo ham hain usi saf ke log
jin se sehra ko sanwar jaana hai
saamne hashr ki had hai sahab
ab hamein laut ke ghar jaana hai
qabr-gaah hain sadaaon ki yahan
bas yahin ham ko bhi mar jaana hai
tum ko khone ka tumhein paane ka
ham ne har qism ka dar jaana hai
koi bhi raah nahin hai us tak
ham ko maaloom hai par jaana hai
lo nazar aane laga us ka hashr
qafile waalo thehar jaana hai
kis liye tairna ashkon mein sada
ab tah-e-deeda-e-tar jaana hai
vo dinesh us ki gali hai aage
dekh lo tum ko kidhar jaana hai
चाक पर मिट्टी को मर जाना है
ख़्वाब-ए-ता'मीर बिखर जाना है
हम को उस दश्त में जाना होगा
वहशतों का यही हर्जाना है
साहिबो हम हैं उसी सफ़ के लोग
जिन से सहरा को सँवर जाना है
सामने हश्र की हद है साहब
अब हमें लौट के घर जाना है
क़ब्र-गाह हैं सदाओं की यहाँ
बस यहीं हम को भी मर जाना है
तुम को खोने का तुम्हें पाने का
हम ने हर क़िस्म का डर जाना है
कोई भी राह नहीं है उस तक
हम को मालूम है पर जाना है
लो नज़र आने लगा उस का हश्र
क़ाफ़िले वालो ठहर जाना है
किस लिए तैरना अश्कों में सदा
अब तह-ए-दीदा-ए-तर जाना है
वो 'दिनेश' उस की गली है आगे
देख लो तुम को किधर जाना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dinesh naaidu
our suggestion based on Dinesh naaidu
As you were reading Terrorism Shayari Shayari