poochta kaun wafa se us ki | पूछता कौन वफ़ा से उस की

  - Dinesh naaidu

poochta kaun wafa se us ki
mar gaye log bala se us ki

dekho kis taur sanwar jaata hai
mujh sa sehra bhi ghatta se us ki

yaar ham khaak-b-sar khaak-nasheen
is fazaa mein hain hawa se us ki

ab koi subh jagaaegi kya
ham ko uthna hai sada se us ki

laut jaayegi bahaar us ke saath
sabz mausam hai fazaa se us ki

zikr karte hain qaza se us ka
ham jo jeete hain dava se us ki

zakham ke phool khile hain tan mein
lahlahata hoon hawa se us ki

पूछता कौन वफ़ा से उस की
मर गए लोग बला से उस की

देखो किस तौर सँवर जाता है
मुझ सा सहरा भी घटा से उस की

यार हम ख़ाक-ब-सर ख़ाक-नशीं
इस फ़ज़ा में हैं हवा से उस की

अब कोई सुब्ह जगाएगी क्या
हम को उठना है सदा से उस की

लौट जाएगी बहार उस के साथ
सब्ज़ मौसम है फ़ज़ा से उस की

ज़िक्र करते हैं क़ज़ा से उस का
हम जो जीते हैं दवा से उस की

ज़ख़्म के फूल खिले हैं तन में
लहलहाता हूँ हवा से उस की

  - Dinesh naaidu

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh naaidu

As you were reading Shayari by Dinesh naaidu

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh naaidu

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari