zamaane theek hai in se bahut hue raushan
magar charaagh kahaan khud ko kar sake raushan
sabhi ke zehan mein us ka khayal rehta hai
us ek noor se hai kitne aaine raushan
abhi to ham ko kai roz jagmagana hai
humeen hai dasht mein ik aakhiri diye raushan
mahak usi ki meri rahnumaai karti hai
usi ki chaap se hote hain raaste raushan
ham ek umr se tareekiyo mein simte the
jab us ne choo liya to ham bhi ho gaye raushan
kisi ka aks mujhe khwaab mein dikha tha kabhi
tamaam umr rahe mere rat-jage raushan
ye aadhi raat ko dastak si kis ne di dil par
ye kis ne kar diye har samt qumqume raushan
ham ek rukh se andhere mein aa gaye lekin
kai rukhon se hamaare hain silsile raushan
chalo dinesh ab is dil se un ka noor gaya
talashte hain ilaaqe bache-khuche raushan
ज़माने ठीक है इन से बहुत हुए रौशन
मगर चराग़ कहाँ ख़ुद को कर सके रौशन
सभी के ज़ेहन में उस का ख़याल रहता है
उस एक नूर से है कितने आइने रौशन
अभी तो हम को कई रोज़ जगमगाना है
हमीं है दश्त में इक आख़िरी दिए रौशन
महक उसी की मिरी रहनुमाई करती है
उसी की चाप से होते हैं रास्ते रौशन
हम एक उम्र से तारीकियों में सिमटे थे
जब उस ने छू लिया तो हम भी हो गए रौशन
किसी का अक्स मुझे ख़्वाब में दिखा था कभी
तमाम उम्र रहे मेरे रत-जगे रौशन
ये आधी रात को दस्तक सी किस ने दी दिल पर
ये किस ने कर दिए हर सम्त क़ुमक़ुमे रौशन
हम एक रुख़ से अँधेरे में आ गए लेकिन
कई रुख़ों से हमारे हैं सिलसिले रौशन
चलो 'दिनेश' अब इस दिल से उन का नूर गया
तलाशते हैं इलाक़े बचे-खुचे रौशन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dinesh naaidu
our suggestion based on Dinesh naaidu
As you were reading Budhapa Shayari Shayari