mere kamre mein poori chaandni hai | मिरे कमरे में पूरी चाँदनी है - Dinesh naaidu

mere kamre mein poori chaandni hai
faqat teri kami baaki rahi hai

main sehra mein tasalli se rahoonga
musalsal tishnagi hi tishnagi hai

khamoshi odh kar baithe hain sab ped
ye baarish aaj kitni khushk si hai

hawa aayi hai kis duniya se ho kar
har ik tahni shajar ki kaanpati hai

abhi to sardiyon ka daur hoga
fazaa rona tha jitna ro chuki hai

main har deepak bujhaata ja raha hoon
meri duniya mein itni raushni hai

dareecha ab nahin khulta tumhaara
nazar lekin kisi ki maanti hai

vo jo hassaas ladka mar gaya tha
ab us ka shauq keval shaayri hai

kabhi thehra nahin phoolon ka mausam
dilon ka toot jaana qudrati hai

मिरे कमरे में पूरी चाँदनी है
फ़क़त तेरी कमी बाक़ी रही है

मैं सहरा में तसल्ली से रहूँगा
मुसलसल तिश्नगी ही तिश्नगी है

ख़मोशी ओढ़ कर बैठे हैं सब पेड़
ये बारिश आज कितनी ख़ुश्क सी है

हवा आई है किस दुनिया से हो कर
हर इक टहनी शजर की काँपती है

अभी तो सर्दियों का दौर होगा
फ़ज़ा रोना था जितना रो चुकी है

मैं हर दीपक बुझाता जा रहा हूँ
मेरी दुनिया में इतनी रौशनी है

दरीचा अब नहीं खुलता तुम्हारा
नज़र लेकिन किसी की मानती है

वो जो हस्सास लड़का मर गया था
अब उस का शौक़ केवल शाइरी है

कभी ठहरा नहीं फूलों का मौसम
दिलों का टूट जाना क़ुदरती है

- Dinesh naaidu
0 Likes

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh naaidu

As you were reading Shayari by Dinesh naaidu

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh naaidu

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari