teri mohabbat ka jo ik hum ko sahaara mil gaya | तेरी मोहब्बत का जो इक हम को सहारा मिल गया - Divya Jain

teri mohabbat ka jo ik hum ko sahaara mil gaya
kashti ko toofaan mein koi jaise kinaara mil gaya

gul ho rahe hain be-rida shaakh-o-shajar bhi sabz hain
gulshan ko us ke aane ka koi ishaara mil gaya

kate nahin kattee hain raatein din bhi dooba dooba sa
kya roz-o-shab ye ishq ka hum ko khasaara mil gaya

paazeb mein kaisi khanak utara hai kaanon mein shahad
kis ki ye mauseeqi hai jis mein sur hamaara mil gaya

ab saath hai koi nahin apna bhi ban ke hum-safar
andhere tanhaa chaand ko bhi jab sitaara mil gaya

raatein dareechon pe basar dahleez pe guzre sehar
paighaam us ki samt se koi dobara mil gaya

tere bhi dil mein dekhe hain hum ne wahi dard aur gham
bas ik nazar se teri tera haal saara mil gaya

तेरी मोहब्बत का जो इक हम को सहारा मिल गया
कश्ती को तूफ़ाँ में कोई जैसे किनारा मिल गया

गुल हो रहे हैं बे-रिदा शाख़-ओ-शजर भी सब्ज़ हैं
गुलशन को उस के आने का कोई इशारा मिल गया

कटते नहीं कटती हैं रातें दिन भी डूबा डूबा सा
क्या रोज़-ओ-शब ये इश्क़ का हम को ख़सारा मिल गया

पाज़ेब में कैसी खनक उतरा है कानों में शहद
किस की ये मौसीक़ी है जिस में सुर हमारा मिल गया

अब साथ है कोई नहीं अपना भी बन के हम-सफ़र
अंधेरे तन्हा चाँद को भी जब सितारा मिल गया

रातें दरीचों पे बसर दहलीज़ पे गुज़रे सहर
पैग़ाम उस की सम्त से कोई दोबारा मिल गया

तेरे भी दिल में देखे हैं हम ने वही दर्द और ग़म
बस इक नज़र से तेरी तेरा हाल सारा मिल गया

- Divya Jain
0 Likes

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Divya Jain

As you were reading Shayari by Divya Jain

Similar Writers

our suggestion based on Divya Jain

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari