phir zabaan pe wahi bhoola sa fasana aaya | फिर ज़बाँ पे वही भूला सा फ़साना आया - Divya Jain

phir zabaan pe wahi bhoola sa fasana aaya
yaad vo be-khudi ka phir se zamaana aaya

lete angadaai hain gham zakham lage hain risne
yaad jab bhoola hua dost puraana aaya

vo theharta hai kahaan laakh bulaaye koi
laut ke waqt ko to tha nahin aana aaya

zulf ziddi jo jabeen ko meri chhukar guzri
abr ko yaad koi wa'da nibhaana aaya

teetri sang ye dil aaj jo aawaara hai
laut ke waqt vo bachpan ka suhaana aaya

charcha mehfil mein jo phir aaj meri thi nikli
har gali-kooche se phir mera deewaana aaya

kar liya wa'da lo phir us ne jo milne ka phir
dekhna kal naya kya yaad bahaana aaya

फिर ज़बाँ पे वही भूला सा फ़साना आया
याद वो बे-ख़ुदी का फिर से ज़माना आया

लेते अंगड़ाई हैं ग़म ज़ख़्म लगे हैं रिसने
याद जब भूला हुआ दोस्त पुराना आया

वो ठहरता है कहाँ लाख बुलाए कोई
लौट के वक़्त को तो था नहीं आना आया

ज़ुल्फ़ ज़िद्दी जो जबीं को मिरी छूकर गुज़री
अब्र को याद कोई वा'दा निभाना आया

तीतरी संग ये दिल आज जो आवारा है
लौट के वक़्त वो बचपन का सुहाना आया

चर्चा महफ़िल में जो फिर आज मेरी थी निकली
हर गली-कूचे से फिर मेरा दीवाना आया

कर लिया वा'दा लो फिर उस ने जो मिलने का फिर
देखना कल नया क्या याद बहाना आया

- Divya Jain
0 Likes

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Divya Jain

As you were reading Shayari by Divya Jain

Similar Writers

our suggestion based on Divya Jain

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari