tha shareek-e-bazm-e-gham main ham-nawaan koi nahin | था शरीक-ए-बज़्म-ए-ग़म मैं हम-नवाँ कोई नहीं - Divya Jain

tha shareek-e-bazm-e-gham main ham-nawaan koi nahin
dard-e-dil ko harf karne ka bayaan koi nahin

tha khalaon mein bhatkna tanhaa hi jis ka naseeb
tha na chanda sang apne kahkashaan koi nahin

rang bhar do yun ki phaile bin dhanak jism-e-ufuq
khwaabon ki tasveer se badh ke zabaan koi nahin

kitne deewaron mein khoye dard-o-gham ke zalzale
aahon se jo dhah gaya aisa makaan koi nahin

mil ke bas vo pal do pal apne hi ghar ko lautaa hai
aaye jo basne zameen par aasmaan koi nahin

dekhta hai har kali ko vo bikharta baar-baar
gul ugaana chhodta par baagbaan koi nahin

khaak kar dega ghubaar-e-waqt tera ye vujood
jo ruke tere liye vo kaarwaan koi nahin

था शरीक-ए-बज़्म-ए-ग़म मैं हम-नवाँ कोई नहीं
दर्द-ए-दिल को हर्फ़ करने का बयाँ कोई नहीं

था ख़लाओं में भटकना तन्हा ही जिस का नसीब
था न चंदा संग अपने कहकशाँ कोई नहीं

रंग भर दो यूँ कि फैले बिन धनक जिस्म-ए-उफ़ुक़
ख़्वाबों की तस्वीर से बढ़ के ज़बाँ कोई नहीं

कितने दीवारों में खोए दर्द-ओ-ग़म के ज़लज़ले
आहों से जो ढह गया ऐसा मकाँ कोई नहीं

मिल के बस वो पल दो पल अपने ही घर को लौटा है
आए जो बसने ज़मीं पर आसमाँ कोई नहीं

देखता है हर कली को वो बिखरता बार-बार
गुल उगाना छोड़ता पर बाग़बाँ कोई नहीं

ख़ाक कर देगा ग़ुबार-ए-वक़्त तेरा ये वजूद
जो रुके तेरे लिए वो कारवाँ कोई नहीं

- Divya Jain
0 Likes

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Divya Jain

As you were reading Shayari by Divya Jain

Similar Writers

our suggestion based on Divya Jain

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari