shigaaf-e-khaana-e-dil se hi raushni aayi
use to aana tha har haal mein chali aayi
kahi khuda na bane mujh se khauf-e-hijr-e-azeez
kabhi rulaai kabhi soch ke hasi aayi
uchhal rahi theen bahut machliyaan si aankhon mein
jo daala jaal to khinchti hui nadi aayi
hawa ke haath jale ik diya jalane mein
vo saari basti jalaati hui chali aayi
vo apne saath kai saaye le ke doobega
yahi umeed dar-e-‘shams se lagi aayi
शिगाफ़-ए-ख़ाना-ए-दिल से ही रौशनी आई
उसे तो आना था हर हाल में चली आई
कहीं ख़ुदा न बने मुझ से ख़ौफ़-ए-हिज्र-ए-अज़ीज़
कभी रुलाई कभी सोच के हँसी आई
उछल रही थीं बहुत मछलियाँ सी आँखों में
जो डाला जाल तो खिंचती हुई नदी आई
हवा के हाथ जले इक दिया जलाने में
वो सारी बस्ती जलाती हुई चली आई
वो अपने साथ कई साए ले के डूबेगा
यही उमीद दर-ए-‘शम्स’ से लगी आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Chandrashekhar Pandey Shams
our suggestion based on Dr. Chandrashekhar Pandey Shams
As you were reading Rahbar Shayari Shayari