badh kar kisi se haath milaane nahin gaye
tevar wahi hain ab bhi purane nahin gaye
daalaan apni chaan ke baithe tamaam umr
chakkar kisi mahal ka lagaane nahin gaye
jab bhi gaye to baith gaye paanv ke tale
ghalti se bhi badon ke sirhaane nahin gaye
mehfil mein teri shor hai mere hi naam ka
jaane ke baad bhi vo fasaane nahin gaye
apne hunar se shams the jugnoo the jo bhi the
photo kisi ke saath khinchaane nahin gaye
बढ़ कर किसी से हाथ मिलाने नहीं गए
तेवर वही हैं अब भी पुराने नहीं गए
दालान अपनी छान के बैठे तमाम उम्र
चक्कर किसी महल का लगाने नहीं गए
जब भी गए तो बैठ गए पाँव के तले
ग़लती से भी बड़ों के सिरहाने नहीं गए
महफ़िल में तेरी शोर है मेरे ही नाम का
जाने के बाद भी वो फ़साने नहीं गए
अपने हुनर से 'शम्स' थे जुगनू थे जो भी थे
फोटो किसी के साथ खिंचाने नहीं गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Chandrashekhar Pandey Shams
our suggestion based on Dr. Chandrashekhar Pandey Shams
As you were reading Rahbar Shayari Shayari