apna tumhein banaana tha kah kar bana liya
tarz-e-wafa ka ik naya daftar bana liya
duniya ko gham ka dariya kaha ahl-e-ilm ne
ham ne tumhaari yaad ko gauhar bana liya
haathon mein us ka haath liya aur is tarah
khud ko rah-e-wafa ka sikandar bana liya
mere lahu mein lams tira daudta hai yun
seena se dil nikaal ke saagar bana liya
thokar laga di raah mein jis dar ko aap ne
us dar ko sab ne meel ka patthar bana liya
ahad-e-visaal un se qayamat ke roz tha
to waqt-e-hijr shams ne mahshar bana liya
अपना तुम्हें बनाना था कह कर बना लिया
तर्ज़-ए-वफ़ा का इक नया दफ़्तर बना लिया
दुनिया को ग़म का दरिया कहा अहल-ए-इल्म ने
हम ने तुम्हारी याद को गौहर बना लिया
हाथों में उस का हाथ लिया और इस तरह
ख़ुद को रह-ए-वफ़ा का सिकंदर बना लिया
मेरे लहू में लम्स तिरा दौड़ता है यूँ
सीना से दिल निकाल के सागर बना लिया
ठोकर लगा दी राह में जिस दर को आप ने
उस दर को सब ने मील का पत्थर बना लिया
अहद-ए-विसाल उन से क़यामत के रोज़ था
तो वक़्त-ए-हिज्र 'शम्स' ने महशर बना लिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Chandrashekhar Pandey Shams
our suggestion based on Dr. Chandrashekhar Pandey Shams
As you were reading Udas Shayari Shayari