ye kaha sab se dil-e-beemaar ne
gham diye hain mujh ko mere yaar ne
de diya apnaiyat ka kuchh suboot
mere daaman se uljh kar khaar ne
haan khameeda ho gai meri kamar
bojh itna rakh diya sarkaar ne
kar diya maghroor neta ko bahut
desh ki janta ki jay-jay-kaar ne
kar diya afsurda ya phir shaadmaan
ik tire inkaar ne iqaar ne
kar diya yaad-e-khuda se be-niyaaz
aaj-kal duniya ke kaarobaar ne
dushmanon ko bhi abhi kaise jamaal
mera shaidai banaya pyaar ne
ये कहा सब से दिल-ए-बीमार ने
ग़म दिए हैं मुझ को मेरे यार ने
दे दिया अपनाइयत का कुछ सुबूत
मेरे दामन से उलझ कर ख़ार ने
हाँ ख़मीदा हो गई मेरी कमर
बोझ इतना रख दिया सरकार ने
कर दिया मग़रूर नेता को बहुत
देश की जनता की जय-जय-कार ने
कर दिया अफ़्सुर्दा या फिर शादमाँ
इक तिरे इंकार ने इक़रार ने
कर दिया याद-ए-ख़ुदा से बे-नियाज़
आज-कल दुनिया के कारोबार ने
दुश्मनों को भी अभी कैसे 'जमाल'
मेरा शैदाई बनाया प्यार ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Mohammad Jamal
our suggestion based on Dr. Mohammad Jamal
As you were reading Protest Shayari Shayari