ik vo bhi din the darte the jab teergi se hum | इक वो भी दिन थे डरते थे जब तीरगी से हम - Dr. Mohammad Jamal

ik vo bhi din the darte the jab teergi se hum
ghabra rahe hain aaj bahut raushni se hum

jeene ki de raha hai dua chaaragar humein
mayus ho gaye hain gham-e-zindagi se hum

achha hua ki tu ne humein ab bhula diya
tang aa gaye the yaar tiri dosti se hum

ye zindagi hai ya ki musalsal azaab hai
do-chaar din guzaar na paaye khushi se hum

pal bhar mein ulfaten hain to pal bhar mein nafratein
kaise nibhaayein husn ki baazigari se hum

ummeed thi ki de ke sada tum bulaaoge
guzre the baar baar tumhaari gali se hum

vaise hamaare aage masaail hazaar-ha
hans hans ke mil rahe hain magar har kisi se hum

marne ka ai jamaal humein dar ho kis liye
aaye the kab jahaan mein kuch apni khushi se hum

इक वो भी दिन थे डरते थे जब तीरगी से हम
घबरा रहे हैं आज बहुत रौशनी से हम

जीने की दे रहा है दुआ चारागर हमें
मायूस हो गए हैं ग़म-ए-ज़िंदगी से हम

अच्छा हुआ कि तू ने हमें अब भुला दिया
तंग आ गए थे यार तिरी दोस्ती से हम

ये ज़िंदगी है या कि मुसलसल अज़ाब है
दो-चार दिन गुज़ार न पाए ख़ुशी से हम

पल भर में उल्फ़तें हैं तो पल भर में नफ़रतें
कैसे निभाएँ हुस्न की बाज़ीगरी से हम

उम्मीद थी कि दे के सदा तुम बुलाओगे
गुज़रे थे बार बार तुम्हारी गली से हम

वैसे हमारे आगे मसाइल हज़ार-हा
हँस हँस के मिल रहे हैं मगर हर किसी से हम

मरने का ऐ 'जमाल' हमें डर हो किस लिए
आए थे कब जहाँ में कुछ अपनी ख़ुशी से हम

- Dr. Mohammad Jamal
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Mohammad Jamal

As you were reading Shayari by Dr. Mohammad Jamal

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Mohammad Jamal

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari