kuchh anokhe hain khel pyaar ke dekh
jeet maqsood ho to haar ke dekh
har taraf surkh zard neele phool
thaath ye mausam-e-bahaar ke dekh
dard akhtar-shumaari betaabi
ye nazaare bhi intizaar ke dekh
tu ne naadaan use qubool kiya
apne kandon se bojh utaar ke dekh
gair mumkin hai un se chhutkaara
silsile jabr-o-ikhtiyaar ke dekh
apne rab ko qareeb paayega
tu kisi din use pukaar ke dekh
log majboor jubba-saai par
sho'bde saahib-e-mazaar ke dekh
poochte hain ki kya tiri khidmaat
kaise nakhre hain ahl-e-daar ke dekh
कुछ अनोखे हैं खेल प्यार के देख
जीत मक़्सूद हो तो हार के देख
हर तरफ़ सुर्ख़ ज़र्द नीले फूल
ठाठ ये मौसम-ए-बहार के देख
दर्द अख़्तर-शुमारी बेताबी
ये नज़ारे भी इंतिज़ार के देख
तू ने नादाँ उसे क़ुबूल किया
अपने कंधों से बोझ उतार के देख
ग़ैर मुमकिन है उन से छुटकारा
सिलसिले जब्र-ओ-इख़्तियार के देख
अपने रब को क़रीब पाएगा
तू किसी दिन उसे पुकार के देख
लोग मजबूर जुब्बा-साई पर
शो'बदे साहिब-ए-मज़ार के देख
पूछते हैं कि क्या तिरी ख़िदमात
कैसे नख़रे हैं अहल-ए-दार के देख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Mohammad Jamal
our suggestion based on Dr. Mohammad Jamal
As you were reading Awaaz Shayari Shayari