log jis ko gungunaayein aaj ke maahol mein
vo ghazal kaise sunaayein aaj ke maahol mein
chot lagne par bhi ab aansu nikal paate nahin
chuk gaeein samvedanaayein aaj ke maahol mein
shaay'ri daftar ki faail mein padi hain band ab
likh rahe hain yojanaayein aaj ke maahol mein
vo jo maulik baat kehne ka sada aadi raha
us ki hain aalochanaayein aaj ke maahol mein
saaptaahik patr si ab ho chali hai har ghazal
she'r kahtiin soochanaayein aaj ke maahol mein
लोग जिस को गुनगुनाएँ आज के माहौल में
वो ग़ज़ल कैसे सुनाएँ आज के माहौल में
चोट लगने पर भी अब आँसू निकल पाते नहीं
चुक गईं सम्वेदनाएँ आज के माहौल में
शाइ'री दफ़्तर की फ़ाइल में पड़ी हैं बंद अब
लिख रहे हैं योजनाएँ आज के माहौल में
वो जो मौलिक बात कहने का सदा आदी रहा
उस की हैं आलोचनाएँ आज के माहौल में
साप्ताहिक पत्र सी अब हो चली है हर ग़ज़ल
शे'र कहतीं सूचनाएँ आज के माहौल में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Urmilesh
our suggestion based on Dr. Urmilesh
As you were reading Ghayal Shayari Shayari