ye khabar bhi chaapiyega aaj ke akhbaar mein
rooh bhi bikne lagi hai jism ke bazaar mein
dekh kar bacchon ke fashion vo bhi nangaa ho gaya
ye izafa bhi hua is daur ki raftaar mein
aaj basti mein macha kohraam to us ne kaha
maut kis ke ghar hui padh lenge kal akhbaar mein
ab to har tyaohar ka ham ko pata chalta hai tab
jab police ki gasht badhti shehar ke bazaar mein
apni shaadi pe chapaaye us ne angrezee mein card
vo jo hindi bolta tha roz ke vyavhaar mein
vo tadap vo chitthiyan vo yaad vo be-chainiyaan
sab purane baat hain ab pyaar ke byopaar mein
mehmaanon kuchh na kuchh le kar hi jaana tum wahan
daavaten ab dhal chuki hain poore kaarobaar mein
ये ख़बर भी छापिएगा आज के अख़बार में
रूह भी बिकने लगी है जिस्म के बाज़ार में
देख कर बच्चों के फैशन वो भी नंगा हो गया
ये इज़ाफ़ा भी हुआ इस दौर की रफ़्तार में
आज बस्ती में मचा कोहराम तो उस ने कहा
मौत किस के घर हुई पढ़ लेंगे कल अख़बार में
अब तो हर त्यौहार का हम को पता चलता है तब
जब पुलिस की गश्त बढ़ती शहर के बाज़ार में
अपनी शादी पे छपाए उस ने अंग्रेज़ी में कार्ड
वो जो हिन्दी बोलता था रोज़ के व्यवहार में
वो तड़प वो चिट्ठियाँ वो याद वो बे-चैनियाँ
सब पुराने बाट हैं अब प्यार के ब्योपार में
मेहमानों कुछ न कुछ ले कर ही जाना तुम वहाँ
दावतें अब ढल चुकी हैं पूरे कारोबार में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Urmilesh
our suggestion based on Dr. Urmilesh
As you were reading Kamar Shayari Shayari