aankh mein aansu hain ehsaas-e-masarrat dil mein hai | आँख में आँसू हैं एहसास-ए-मसर्रत दिल में है

  - Ehsan Danish

aankh mein aansu hain ehsaas-e-masarrat dil mein hai
ek firdaus-e-nazara aap ki mehfil mein hai

har jafaa teri munaasib har sitam tera durust
ab wahi meri tamannaa hai jo tere dil mein hai

jab b-juz mehboob ho jaati hai ojhal kaayenaat
ik maqaam aisa bhi jazb-e-shauq ki manzil mein hai

fasl-e-gul mein be-tahaasha hansne waalo hoshiyaar
iztiraab-e-dil ka pahluu bhi sukoon-e-dil mein hai

jis ko doori se huzoori mein siva ho iztiraab
vo pareshaan-e-mohabbat kis qadar mushkil mein hai

dehr ke hangaama-e-sheikh-o-barhaman se buland
aur bhi hangaama ik girdaab-e-nooh-e-dil mein hai

ab koi shaayaan-e-jalwa hai na shaayaan-e-kalaam
tu usi manzil mein behtar hai ki jis manzil mein hai

na-sazaa hai is ke jalvo ki nazaakat ke liye
vo gham-e-haasil jo tere ishq ke haasil mein hai

main to khud uthne ko hoon badlo na andaaz-e-nazar
tum jo kahte hichkichate ho vo mere dil mein hai

apne markaz se sitaaron par jo karta hoon nazar
jis ko jis manzil mein chhodaa tha usi manzil mein hai

mom kar deti hai jo faulaad-o-aahan ka jigar
vo bhi ik jhankaar aawaaz-e-shikast-e-dil mein hai

kaun hai ehsaan meri zindagi ka raazdaar
kya kahoon kis tarah marne ki tamannaa dil mein hai

आँख में आँसू हैं एहसास-ए-मसर्रत दिल में है
एक फ़िरदौस-ए-नज़ारा आप की महफ़िल में है

हर जफ़ा तेरी मुनासिब हर सितम तेरा दुरुस्त
अब वही मेरी तमन्ना है जो तेरे दिल में है

जब ब-जुज़ महबूब हो जाती है ओझल काएनात
इक मक़ाम ऐसा भी जज़्ब-ए-शौक़ की मंज़िल में है

फ़स्ल-ए-गुल में बे-तहाशा हँसने वालो होशियार
इज़्तिराब-ए-दिल का पहलू भी सुकून-ए-दिल में है

जिस को दूरी से हुज़ूरी में सिवा हो इज़्तिराब
वो परेशान-ए-मोहब्बत किस क़दर मुश्किल में है

दहर के हंगामा-ए-शैख़-ओ-बरहमन से बुलंद
और भी हंगामा इक गिर्दाब-ए-नूह-ए-दिल में है

अब कोई शायान-ए-जल्वा है न शायान-ए-कलाम
तू उसी मंज़िल में बेहतर है कि जिस मंज़िल में है

ना-सज़ा है इस के जल्वों की नज़ाकत के लिए
वो ग़म-ए-हासिल जो तेरे इश्क़ के हासिल में है

मैं तो ख़ुद उठने को हूँ बदलो न अंदाज़-ए-नज़र
तुम जो कहते हिचकिचाते हो वो मेरे दिल में है

अपने मरकज़ से सितारों पर जो करता हूँ नज़र
जिस को जिस मंज़िल में छोड़ा था उसी मंज़िल में है

मोम कर देती है जो फ़ौलाद-ओ-आहन का जिगर
वो भी इक झंकार आवाज़-ए-शिकस्त-ए-दिल में है

कौन है 'एहसान' मेरी ज़िंदगी का राज़दार
क्या कहूँ किस तरह मरने की तमन्ना दिल में है

  - Ehsan Danish

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari