tooti hui bottle ki tarah
be-kaar be-maqsd
zindagi ke taq mein
rakha hua hoon main
vo kaun tha jo chhod gaya
mere vujood ke sheeshe par
apni lahu rang yaadon ke
nishaan
us se pehle ki baarish
un nishaanaat ko dho dale
main reza reza ho jaaun
farsh par bikhar jaaun
waqt ke pairo'n mein chubh jaaun
farsh zameen ko rangeen kar doon
aur khud bhi rangeen ho jaaun
टूटी हुई बोतल की तरह
बे-कार बे-मक़्सद
ज़िंदगी के ताक़ में
रक्खा हुआ हूँ मैं
वो कौन था जो छोड़ गया
मेरे वजूद के शीशे पर
अपनी लहू रंग यादों के
निशाँ
उस से पहले कि बारिश
उन निशानात को धो डाले
मैं रेज़ा रेज़ा हो जाऊँ
फ़र्श पर बिखर जाऊँ
वक़्त के पैरों में चुभ जाऊँ
फ़र्श ज़मीं को रंगीं कर दूँ
और ख़ुद भी रंगीं हो जाऊँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar
our suggestion based on Ehtisham Akhtar
As you were reading Festive Shayari Shayari