buland baang da'won ki | बुलंद बाँग दा'वों की

  - Ehtisham Akhtar

buland baang da'won ki
aawaazen
khote sikko ki tarah
bajti hain
phir bhi chhote qad ke log
in qad-aavar aawazon ko
sunte rahte hain
kaaghaz ke tukdon ki
ab koi qeemat na rahi
phir bhi bhooki aankhen
unhen dhoondhti hain
aur naakaam rahti hain
aur be-rehm haath
unhen jam'a karte rahte hain
chhote qad ke log
apni awaaz kho chuke hain
vo sirf dekh sakte hain
aur sun sakte hain

बुलंद बाँग दा'वों की
आवाज़ें
खोटे सिक्कों की तरह
बजती हैं
फिर भी छोटे क़द के लोग
इन क़द-आवर आवाज़ों को
सुनते रहते हैं
काग़ज़ के टुकड़ों की
अब कोई क़ीमत न रही
फिर भी भूकी आँखें
उन्हें ढूँढती हैं
और नाकाम रहती हैं
और बे-रहम हाथ
उन्हें जम्अ' करते रहते हैं
छोटे क़द के लोग
अपनी आवाज़ खो चुके हैं
वो सिर्फ़ देख सकते हैं
और सुन सकते हैं

  - Ehtisham Akhtar

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehtisham Akhtar

As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Ehtisham Akhtar

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari