sab kuchh kaarobaari hai
lahja tak baazaari hai
chehron par chehron ka bojh
kaisi duniyadari hai
kahte hain aasaan hai sab
karne mein dushwaari hai
rishte-naate rasm-o-rivaaj
deen se duniya bhari hai
ham hain door siyaasat se
ham ko izzat pyaari hai
us ko pa kar khud kho jaaun
kaisi ye beemaari hai
hai mashhoor bhi rusva bhi
vo ejaz ansaari hai
सब कुछ कारोबारी है
लहजा तक बाज़ारी है
चेहरों पर चेहरों का बोझ
कैसी दुनिया-दारी है
कहते हैं आसान है सब
करने में दुश्वारी है
रिश्ते-नाते रस्म-ओ-रिवाज
दीन से दुनिया भारी है
हम हैं दूर सियासत से
हम को इज़्ज़त प्यारी है
उस को पा कर ख़ुद खो जाऊँ
कैसी ये बीमारी है
है मशहूर भी रुस्वा भी
वो 'एजाज़' अंसारी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Ansari
our suggestion based on Ejaz Ansari
As you were reading Duniya Shayari Shayari