haath mein apne hifazat ka asa le jaana
ghar se jaana to buzurgon ki dua le jaana
baat jab tark-e-ta'alluq hi pe aa pahunchee hai
apne khat bhi mere kamre se utha le jaana
jeb khaali hai magar dil mein badi wusa'at hai
tum mere gaav ke logon se wafa le jaana
tere haathon mein hai patwaar meri kashti ki
tu jidhar chahe usi samt baha le jaana
mujh se milne ke liye vo bhi tadpata hoga
mere khwaabo mujhe haathon pe utha le jaana
pagadiyaan roz uchhalti hon jahaan par ejaz
ham ne seekha wahan izzat ko bacha le jaana
हाथ में अपने हिफ़ाज़त का असा ले जाना
घर से जाना तो बुज़ुर्गों की दुआ ले जाना
बात जब तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ ही पे आ पहुँची है
अपने ख़त भी मिरे कमरे से उठा ले जाना
जेब ख़ाली है मगर दिल में बड़ी वुसअ'त है
तुम मिरे गाँव के लोगों से वफ़ा ले जाना
तेरे हाथों में है पतवार मिरी कश्ती की
तू जिधर चाहे उसी सम्त बहा ले जाना
मुझ से मिलने के लिए वो भी तड़पता होगा
मेरे ख़्वाबो मुझे हाथों पे उठा ले जाना
पगड़ियाँ रोज़ उछलती हों जहाँ पर 'एजाज़'
हम ने सीखा वहाँ इज़्ज़त को बचा ले जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Ansari
our suggestion based on Ejaz Ansari
As you were reading Self respect Shayari Shayari