har ik tahreer nafrat ki mitaana chahta hoon main
mohabbat hi mohabbat ka fasana chahta hoon main
faseelen nafratoin ki sab girana chahta hoon main
ameer-e-shahr ka lekin ishaara chahta hoon main
andheri raat mein suraj ugaana chahta hoon main
charaagon mein lahu apna jalana chahta hoon main
falak chhoote makaanon ki havas tum ko mubarak ho
faqat sar ko chhupaane ka thikaana chahta hoon main
fasaadon se kisi bhi qaum ko azmat nahin milti
ameer-e-qoum ko itna bataana chahta hoon main
nayi tahzeeb ka koi gila-shikwa nahin mujh ko
magar apne buzurgon ka zamaana chahta hoon main
koi soorat nahin haalaat ke tabdeel hone ki
agarche khul ke hansna muskurana chahta hoon main
jahaan ejaz har chehre pe shaadaabi nazar aaye
wahi mausam wahi manzar suhaana chahta hoon main
हर इक तहरीर नफ़रत की मिटाना चाहता हूँ मैं
मोहब्बत ही मोहब्बत का फ़साना चाहता हूँ मैं
फ़सीलें नफ़रतों की सब गिराना चाहता हूँ मैं
अमीर-ए-शहर का लेकिन इशारा चाहता हूँ मैं
अँधेरी रात में सूरज उगाना चाहता हूँ मैं
चराग़ों में लहू अपना जलाना चाहता हूँ मैं
फ़लक छूते मकानों की हवस तुम को मुबारक हो
फ़क़त सर को छुपाने का ठिकाना चाहता हूँ मैं
फ़सादों से किसी भी क़ौम को अज़्मत नहीं मिलती
अमीर-ए-क़ौम को इतना बताना चाहता हूँ मैं
नई तहज़ीब का कोई गिला-शिकवा नहीं मुझ को
मगर अपने बुज़ुर्गों का ज़माना चाहता हूँ मैं
कोई सूरत नहीं हालात के तब्दील होने की
अगरचे खुल के हँसना मुस्कुराना चाहता हूँ मैं
जहाँ 'एजाज़' हर चेहरे पे शादाबी नज़र आए
वही मौसम वही मंज़र सुहाना चाहता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Ansari
our suggestion based on Ejaz Ansari
As you were reading Romantic Shayari Shayari