ajab hi kya hai agar dhund mein ghubaar mein hai | अजब ही क्या है अगर धुँद में ग़ुबार में है

  - Ejaz Ansari

ajab hi kya hai agar dhund mein ghubaar mein hai
vo shakhs apne banaaye hue hisaar mein hai

kahaan hai waqt abhi ham ko dil lagaane ka
hamaari soch abhi fikr-e-rozgaar mein hai

ghamon ke saaye mein khushiyon ke phool mahke hain
khizaan ka aks bhi kuchh mausam-e-bahaar mein hai

jo iqtidaar ke laayeq na tha kisi soorat
sitam ye hai ki wahi shakhs iqtidaar mein hai

khuda ko karna hai waapas rahe khayal ejaz
hamaare paas to ye zindagi udhaar mein hai

अजब ही क्या है अगर धुँद में ग़ुबार में है
वो शख़्स अपने बनाए हुए हिसार में है

कहाँ है वक़्त अभी हम को दिल लगाने का
हमारी सोच अभी फ़िक्र-ए-रोज़गार में है

ग़मों के साए में ख़ुशियों के फूल महके हैं
ख़िज़ाँ का अक्स भी कुछ मौसम-ए-बहार में है

जो इक़्तिदार के लाएक़ न था किसी सूरत
सितम ये है कि वही शख़्स इक़्तिदार में है

ख़ुदा को करना है वापस रहे ख़याल 'एजाज़'
हमारे पास तो ये ज़िंदगी उधार में है

  - Ejaz Ansari

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Ansari

As you were reading Shayari by Ejaz Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Ansari

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari