kho jaaun musht-e-khaak mein aisa nahin hoon main
dariya hoon apni zaat mein qatra nahin hoon main
guzroonga jis jagah se nishaan chhod jaaunga
aandhi hoon apne waqt ki jhonka nahin hoon main
manzil se ye kaho ki kare mera intizaar
thehra hua zaroor hoon bhatka nahin hoon main
poochi hai khat mein aap ne jo khairiyat meri
kaise likhoon janab ki achha nahin hoon main
khushboo tire badan ki mere saath saath hai
kah de koi hawaon se tanhaa nahin hoon main
husn-o-shabaab saagar-o-meena the saamne
lekin kisi bhi shab kahi thehra nahin hoon main
de kar khilone mujh ko jo bahla rahe hain log
ejaz un se kah do ki baccha nahin hoon main
खो जाऊँ मुश्त-ए-ख़ाक में ऐसा नहीं हूँ मैं
दरिया हूँ अपनी ज़ात में क़तरा नहीं हूँ मैं
गुज़रूँगा जिस जगह से निशाँ छोड़ जाऊँगा
आँधी हूँ अपने वक़्त की झोंका नहीं हूँ मैं
मंज़िल से ये कहो कि करे मेरा इंतिज़ार
ठहरा हुआ ज़रूर हूँ भटका नहीं हूँ मैं
पूछी है ख़त में आप ने जो ख़ैरियत मिरी
कैसे लिखूँ जनाब कि अच्छा नहीं हूँ मैं
ख़ुशबू तिरे बदन की मिरे साथ साथ है
कह दे कोई हवाओं से तन्हा नहीं हूँ मैं
हुस्न-ओ-शबाब साग़र-ओ-मीना थे सामने
लेकिन किसी भी शब कहीं ठहरा नहीं हूँ मैं
दे कर खिलौने मुझ को जो बहला रहे हैं लोग
'एजाज़' उन से कह दो कि बच्चा नहीं हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Ansari
our suggestion based on Ejaz Ansari
As you were reading Nadii Shayari Shayari