sehar ke waqt | सहर के वक़्त

  - Ejaz Farooqi

sehar ke waqt
kunvaari zameen shabnam mein naha ke leti hai
vo sabz chaadar-e-gul-taab
aariz-e-mahtaab
khumaar-e-khwaab ka aalam
vo intizaar ka aalam
ki door des se jaise
kabhi to aayega
vo door des se suraj ka devta aaya
aur apni tez nigaahon se gudgudi karta
vo jauf-ul-arz ke nisfunnhaar par pahuncha
zameen pe khauf ki ik zard lehar si phaili
magar vo sabz sa jaadu kunvaari dulhan ka
fazaa pe chha hi gaya ik khumaar ka aalam
utar gaya hare sheeshe mein devta aakhir

vo shaam lams dhundlaka
labon ka rang labon mein ghula
haseen tha manzar
lazeez tha lamha
hawa ki angadaai

aur us ke ba'ad bhayaanak hawa ke zannaate

सहर के वक़्त
कुँवारी ज़मीन शबनम में नहा के लेटी है
वो सब्ज़ चादर-ए-गुल-ताब
आरिज़-ए-महताब
ख़ुमार-ए-ख़्वाब का आलम
वो इंतिज़ार का आलम
कि दूर देस से जैसे
कभी तो आएगा
वो दूर देस से सूरज का देवता आया
और अपनी तेज़ निगाहों से गुदगुदी करता
वो जौफ़-उल-अर्ज़ के निस्फ़ुन्नहार पर पहुँचा
ज़मीं पे ख़ौफ़ की इक ज़र्द लहर सी फैली
मगर वो सब्ज़ सा जादू कुँवारी दुल्हन का
फ़ज़ा पे छा ही गया इक ख़ुमार का आलम
उतर गया हरे शीशे में देवता आख़िर

वो शाम लम्स धुँदलका
लबों का रंग लबों में घुला
हसीन था मंज़र
लज़ीज़ था लम्हा
हवा की अंगड़ाई

और उस के बा'द भयानक हवा के ज़न्नाटे

  - Ejaz Farooqi

haseen Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Farooqi

Similar Moods

As you were reading haseen Shayari Shayari